Best Homemade Face Masks, Packs Recipes In Hindi

January 1, 2021

Prakartic Face packs istemal karne se tvacha me aaye badlav ko aap khud mehsus krenge. Inse na sirf chehre tvacha me kasav ayega, balki tvacha iss jhulasti hui garmi me bhi bilkul tajaa or jawan dikhegi.

Agar aapki tvacha achanak se dheeli ho gai hai ya fir badti umar si dikhne lagi hai to ye sabhi face pack garmi ke mausam me aapke liye Perfect hai.

Garmi ke mausam me Tvacha ki khoi hui sunderta vapis lane ke liye, yahan hum kuch aasan or asardar homemade face pack ke tarike apke sath bant rhen hain. Homemade face masks or packs tvacha ko saaf krke, gandgi se bachayega or prakartic chamakdar chehra lotayga.

“Agar aapko ye jankari pasand aati hai to facebook par apne doston ke sath share karna na bhulen..”

Recommended – Facial Treatment Review in Hindi | Methods of Facial

Homemade Cucumber Face Mask (pack) Recipe in Hindi – Kheera Face pack

Ingredients : Freeze me rakha hua kheera

Recipe : Kheere ka Face Pack sabse jaldi or asani se tayar hone wala face pack to hai hi sath me sabse jyada asardar bhi hai.

Kheere ka face pack bnane ke liye sabse phele freeze me rakhe kheere ko nikal kar chote chote tukdon me kaat len or grinder me iska bilkul barik paste tayar kar len.

Ab is paste ko chehre par lgakar 15-20 minutes ke liye aise hi chod den. Jab Kheera face pack puri tarah se sukh jaye to thande pani se chehra dhokar, mulayam toliye se chehra ponch len.

Curd Face Pack (Mask) Recipe in Hindi – Dahi Face Pack

Ingredients : Dahi ek (Ek chammach), Shehed (Ek chammach)

Recipe : Dahi prakartic rup se garmi ke mausam me sharir ko thanda rkhne ka kaam krti hai. Dahi ka Face Pack banane ke liye Dahi or Shehed ka paste tayar kar len.

Iss paste ko halke hathon se chehre pe lgakar 15-20 minutes ke liye chod den. Phir gungune pani se chehra dho len. Tvacha me aaye badlav ko aap khud mehsus krenge.

Homemade Face Masks PacksAloe Vera Face Mask (Pack) Recipe in Hindi – Aloe Vera Face Pack

Ingredients : Aloe Vera Juice (Teen chammach), Aloe Vera Gel (Teen chammach), Rose Oil  (Gulab ka Tel) 2 bund, kheera freeze me rakha hua  2 tukde

Recipe : Laghbagh sabhi skin care products me Aloe Vera ka istemal kiya jata hai. Aloe Vera Face Pack ghar pe tayar krne ke liye 1 katori me Aloe Vera Juise, Aloe Vera Gel or Rose Oil (Gulab ka Tel) dal kar uska mishran tayar kren.

Rui ki madad se is mishran ko apne chehre par lagayen. Ab late kar aankhon ke uper kheere ke tukde rkhen or laghbagh adhe ghante (30 min) tak iss face pack ko chehre par lga ke rkhen .

Ab gungune pani me suti kapde ko bhigo kar is face pack ko utaren. Jab face pack puri tarah se saaf ho jaye to thande pani se chehra dho len.

Potato Face Mask (Pack) Recipe in Hindi – Aalu Face Pack

Ingredients : Aalu (Ek), Santre ka juice (Do chammach), Malai  (Ek chammach).

Recipe : Aalu ke tukde kat kar blender me uska paste tayar kar len. Aalu ke iss paste me Santre ka Juise or Malai milayen. chehre par is face pack ko sukhne tak lagayen. Sukhne ke baad thande pani se chehra dho len.

Agar aapki tvacha achanak se thodi umardaraj si dikhne lagi hai ya fir dheeli ho gai hai to ye face pack garmi ke mausam me aapke liye perfect hai.

Papaya Face Mask (Pack) Recipe in Hindi – Papita Face Pack

Ingredients : paka hua Papita (Ek tukda), jaee ka aata (Do chammach), Ande ki safedi

Recipe : Pake hue Papite ko mash kar len or usme Jaee ka aata or Ande ki safedi mila kar ek paste tayar kar len. Papite ka face pack ek prakartic scrub bhi hai.

Is facepack ko sukhne tak chehre pe laga kar rkhen. Sukhne ke baad  thande pani se chehra dho len. Is face pack se na sirf chehre ki tvacha me kasav ayega, balki tvacha is jhulasti hui garmi me bhi tajaa or jawan dikhegi.

3.20 avg. rating (64% score) - 134 votes

Fashion Blog Guest Post - Understand the writing style and visit the "Write for us" page. To submit, send your article to the email address "fsquarefashionblog@gmail.com".