Rang Gora Karne Ki Cream – Gora Rang Karne ke Upay or Totky

September 12, 2018

Rang sanwla ho ya gora, agar face par glow ho to vo acha dikhta hai. Aajkal market me 5 Min me rang gora krne ki cream b btai jati hai or pta ni kitne log 2 Min me Rang Gora krny k totky or jaldi se Rang gora krne ka tarika bta rhe hai. Youtube pe 10 min Rang Gora krne ke upay ki videos b bhut mil jayengi.

Rang Gora karne ke upaye - Kajol

Face pe glow lane ke liye hum cosmetic creams, or different chemicals lotions use krte hai lekin koi positive result nhi milta balki kuch time use krne k baad skin or khrab hone lagti hai. Face par glow lane ke liye face ka healthy or fresh hona jruri hota he. Kam se kam 7 se 8 hours ki neend jruri hoti hai or khane peene me fresh fruits, juice, lots of water or clean face se skin ko healthy ya fresh bnaya ja skta hai.

Rang Gora karne ke upaye - Deepika Dadukone

Phle hum bta dete hai ki Skin ko healthy or face ko gora krne ke lie kya khana hota hai or kya ni Khana hota hai. Kisi bi chemical cream ka use krke aap 5 min me gore ni ho sakte ye fact hai. par kuch baton ka dhyan rkhke aap skin ko healthy rakh skte ho, acche dikh sakte ho.  Bas or kya chahiye 🙂

You can also check :

– Best Homemade Face Masks, Packs Recipes In Hindi
– Facial Treatment Review in Hindi | Methods of Facial

Rang Gora, Fresh Skin pane ke liye Kya Khana Hai

  1. Fresh fruits or vegetables
  2. 2 Times lemon and orange juice
  3. Soyabean
  4. Chukunder, tomato, papaya
  5. Grean Tea
  6. Sonf ka pani
  7. Nariyal pani

Rang Gora, Healthy Skin pane ke liye kya ni khana.

  1. Meethi Cheej (like mithai n all)
  2. White bread
  3. Masale Dar Food
  4. Sea Food
  5. Tea Or Coffee
  6. Alcohol or Soda
  7. Oily food

Rang Gora Krne ke upay or kuch gharelu nuskhe in Hindi         

  1. Rozana kachhe dudh me kesar ki patti pees kr chre ki msag krne se face glow krne lgega.
  2. Multani mitti, haldi or chandan ka pack bna kr lgane se oily skin tight or fresh hoti he.
  3. Aalu ke ras ko face pr lgane se skin pr glow aata he.
  4. Kheere ko pees kr face pr 1 month lgane se face nikhar jayega.
  5. Face pr din me 2 baar nariyal pani lgane se face ke dag dabbe dur ho jayege.
  6. Kele or papaya ko rojana face pr lgane se gorapan aata he.
  7. Sun light me km se km nikle ya suns cream ka use kre.
  8. Morning or night me gulab jal se face ko clean kre.

Rang Gora krny k totky (Magic Tips)

  1. Daily 1hour exercise or yoga kre.
  2. Keep smile
  3. Calm rho, Gusse se Dur rho
  4. Young bne rho
  5. Simple healthy food khao
  6. 8 hours ki neend lo
  7. Khub pani peeyo
  8. Hmesha makeup me mat rho
  9. Dhup se bacho
  10. Sone se phele makeup clean kr do
  11. Baar baar face ko hath na lgaya kro

Skincare Routine for healthy skin

  1. Remove makeup – Apne makeup ko sone se phle remove kr le or rose water se face se clean kr le.
  2. Face wash twice – Din me 2 baar face wash jrur kre.
  3. Use Toner – face wash ke baad Toner ka use kre.
  4. Use water based Moisturize – Toner ke bad moisture ka use kre.
  5. Use clean Towel – Hmesha face clean krne ke liye clean towel ka use kre.
  6. Wear sunscreen- Sun ki harmful ultraviolet rays se bchne ke liye sunscreen ka use kre.
  7. Don’t touch your face – Hands ke upr bacteria and dirt hota he , esliye apne face ko baar baar touch na kre.
  8. Avoid alcohol – Alcohol skin ko dry or damage krta he. fresh skin ke liye alcohol ko avoid kro.

En subke ke alava modern lifestyle technology , machines, mobile phone one side humari life ko easy bnate he lekin unlimited use se ye sub hmari skin ko damage krte he.

Bas in sab baton ka  thoda dhyan rkho jyada tention na lia karo, enjoy kro life me skin to healthy apne aap ho jayegi. 🙂

5.00 avg. rating (99% score) - 2 votes

Fashion Blog Guest Post - Understand the writing style and visit the "Write for us" page. To submit, send your article to the email address "fsquarefashionblog@gmail.com".